Fuse Ko Multimeter Se Check Krna Sikhe Hindi Me
Multimeter se mobile phone repairing me mobile phone pcb circuit board par lage small part Fuse ko check kaise krte hai. Phone repair, iphone repair, android or window smartphone repairing me hardware faults or problems ko repair, solve, fix, solution or sudhar krne ke liye Fuse ko multimeter se check krke fault ko khoja (finding) jata hai. how to check Fuse using a digital multimeter. Isse pahle aapko kuch lesson read krne honge. Aap Fuse ko multimeter se check tabhi kar payenge jab aapko Fuse ki pahchan pcb par krna aata hai. isliye pahle aap ye lessons jarur sikhe
Fuse ko practically check krne ke liye aapke pas me ye 2 equipment or tools hone chahiye
1. PCB Circuit Board Do It Yourself se aap fast or easily mobile repair course sikhte hai. Khud krke sikhne ke liye kisi old or khrab mobile phone ko open or jaruri purje alag krke pcb board ko bahar nikal le. Mobile phone ko open or disassemble kaise krte hai sikhe.
2. Digital MultimeterMultimeter ek mobile repairing tool hai. Aap online buy from flipkart se Multimeter ko ghar baithe order krke mangwa skte hai ya apne paas ke kisi electronic market se bhi ise khrida ja kata hai.

Fuse Ko Multimeter Se Step by Step Check Krna Sikhe
Agar aapne multimeter ko buy kar liya hai to aap ise practically sikh skte hai
1. Multimeter me Red or Black Probe ko set kijiye. Selector Rotatory Switch ko ghumate huye Beep mode par set kar dijiye. Beep (Buzzer) mode par set huya hai ya nahi ye check krne ke liye RED or BLACK probes ko aapse me touch krke sune. Agar beep ki sound aati hai to aapka multimeter beep mode par set ho chuka hai.

2. Beep Mode par set ho jane ke bad black or red probes ki nib ko Fuse ke dono side ki white stripe (धारी) par rakhiye. Dono side stripe wale parts par probes kaise rakhi jati hai niche diye example se samajhe – 

Mobile Repairing Hindi Me Sikhe
 3. Yadi agar beep ki sound aa rahi hai to Fuse thik hai or agar beep ki sound nahi aati hai to Fuse faulty hai. Aap ise is type se bhi yaad rakh skte hai
Sound Aane Par –OK.
Sound Nahi Aane Par –Faulty.

Aap mobile repairing course ko practically jarur sikhete rahiye. Kyonki khud krke sikhene se mobile cell phone repair krna sikhna or bhi aasan ho jata hai. Mobile phone hardware repairing course me yah lesson bahut important hai inhe bilkul bhi miss na kare agar aapko mobile phone repairing sikhna ho to. Lesson ko repeat kare, friends ke sath share kare or Next lesson ko apne email par pane ke liye free email subscribe kare.

सैलेबस जाने हाउ टु डाउनलोड
अन्य कोर्स स्टोर पर जाएँ