Mobile phone repairing tools or equipments

Mobile phone repairing me kaam aane wale tools or equipment (Upkaran) ki list or unhe use krne ki jankari aapko hona bahut jaroori hai. Jab aap ek mobile phone repair krna chahate hai to aapko all mobile repairing tools ko use krne ki jankari honi chahiye. Mobile phone repairing ke latest tools ke bare me bhi jankari honi chahiye. Aapko Soldering iron, soldering wire or paste, smd rework station or mulitmeter ko mobile repairing me use krne ki jankari acchi honi chahiye. Mobile repair krne me hamesha achhi quality ke tools use kare, yah aapke cell phone repairing krne ke experience or karya ko or bhi aasan bana dete hai. Mobile cell phone repairing me jaroori tools kisi acche brand ke hi hone chahiye. Low prices ke tools use krne se bache.


Mobile repairing Krne Ke jaroori Tools or Upkaran (Equipment)

Soldering Iron: Soldering iron mobile phone ki pcb board per parts ko solder krta hai. Speaker, ringer, mic, display screen, battery connector, sim sockets, memory sockets, headphone jack, jumper or other parts ko solder krta hai. Soldering iron ke aage ki tips ya bit kahi shapes ki hoti hai. Soldering Iron ko use krte samay uski aage ki tip ki nok ko hamesha nukila banaye. Jab aap mobile repair krte hai to aapko soldering iron ke use krne ka experience hona chahiye. Nahi to pcb board ko damage bhi kr skte hai. Soldering iron ko use krne ki vistarpurvak jankari aapko next lesson me di jayegi.




SMD Rework Station: Isko Hot Air Blower bhi kaha jata hai. Iski Hot air or temperature ko manage krke pcb board per parts ko desolder or solder kr skte hai. Yah SMD (Surface Mount Device) electronic components or parts ko solder krti hai. Iska use specially kisi parts ko pcb board se desolder krne or IC, small parts etc. ko pcb per solder krne ke liye krte hai.

Digital Multimeter: Mobile repairing me pcb board track, parts faults, parts values, current volts, pcb per parts ways or jumper track check krne ke liye Multimeter ka use kiye jata hai. Multimeter se ringer, speaker, vibrator, mic, capacitor, resistor, transistor, coil, boost coil, diodes, led lights, fuse, regulator, antenna, short mobile pcb, charging volt, battery volt, on-off switch volt, all parts pcb track ways or jumper ways connection ko check krte hai.



BGA Kit: Ball type IC ko repair krne ke liye mobile repairing me BGA kit ko use kiya jata hai. Ball ic ke pende me small balls lagi hoti hai. Ball ic ko bga kit se repair krne ke bare aapko next posts me puri information di jayegi

PCB Stand or Holder: IC, Parts solder or desolder krte samay pcb board ko pcb stand me set kiya jata hai taki pcb board hile-dule nahi or ek place per tika rahe. PCB per jumper banate samay bhi pcb ko pcb holder me set krke rakha jata hai.

Soldering Paste: Parts ko pcb per solder krne, soldering, solder wire ko pighlane ke liye solder paste ka use kiya jata hai. Mobile repairing me 2-3 types ki soldering flux use kiye jate hai.

Soldering Wire: Mobile small, big, card level parts, ic solder krne me or jumper krne me solder wire ka use kiya jata hai. Mobile phone repairing me 0.5mm solder wire ka use adhik kiya jata hai



IPA Solution Water/PCB Cleaner: Isopropyl Alcohol Solution Water ka use mobile phone ki pcb ko wash krne me kiya jata hai. Water damage mobile phone ko solve krne ke liye pcb ko 2-3 time IPA Solution se achhi trah se wash kare. Iske alawa pcb cleaner or thinner ka bhi use kiya jata hai.

Jumper Wire: Mobile phones repair me bahut sari hardware faults ko jumper krke solve kiya jata hai. Isse mobile repair technician ka time or money dono bach jati hai. Mobile pcb per jumper wire ko ek point se dusre point tk solder krne ko jumper krna kahte hai. Jumper wire copper ka bana patla wire hota hai. Mobile phone ki pcb per jumper kaise banaye iski jankari next posts me aapko bata di jayegi.

Tweezers: mobile parts, jumper wire or ic ko solder or desolder krte samay pakade rakhna ka karya chimti se kiya jata hai.

Screw driver Kit: Kisi bhi mobile phone ke screw kholene or kasne ke liye screw driver ka use krte hai. Yah screwdriver T4, T5, T6 ke hote hai.
 
Desoldering Wire: Mobile phone ki pcb se soldering ko hatane ke liye desoldering wire ka use krte hai

Mobile Phone Opener: Mobile phone ki body ko open krne ke liye opener ka prayog kiya jata hai.

Cleaning Sponge: Soldering krte time soldering iron ke aage ki tip ko clean krne ke liye iska use hota hai. Iske liye aap File (reti) ko bhi use kr skte hai

Blade/Point or Nose Cutter: Jumper wire ke uper ki cover ko hatane or wire cutting me mobile repair me inka upyog krte hai.
Blade Cutter
Nose Cutter
 
Point Cutter

Brush: Mobile pcb ko clean krne ke liye repairing me brush ka istemal krte hai.

Soldering Station: se mobile repairing me hot gun or soldering iron dono ke work kiye jate hai

Battery Booster: Mobile phone battery ke power ko badhane ke liye battery booster ka use kiya jata hai
 
Ultrasonic Cleaner:  Electronic components or pcb ko clean krne me use ki jati hai

Magnifying Lamp: Mobile phone ki pcb per small parts ko zoom krke dekhne ke liye use krte hai

DC Power Supply: Mobile repairing me mobile ko bina battery ke switch on krne ke liye ise use me lete hai

LCD Tester: Mobile phone ki lcd display screen faults hai ki nahi, yah check krne lcd tester ka use krte hai



Battery Tester: Mobile phone ki battery ki stithi bata deta hai ki battery chalane layak hai bhi ya nahi.
Aapne abhi sikha ki mobile phone repairing me konse tools ka kya karya hota hai. Card or chip level phone repairing me hum jaruri tools ko use krne ke lesson sikhenge. Mobile repairing course in Hindi ko sikhte rahiye. Agar aap new lesson ko apne mail ke inbox me pana chahate hai free email subscribe krna na bhule

E-Book को Buy करने से सेकर Download तक का तरीका जानें - CLICK HERE

Join Our Telegram Channel - Click Here