Mobile Phone Hardware Repairing Me Pahle Setting Check Kyon Kare
Mobile phone repairing me kisi bhi parts ki hardware faults ko solve krne se pahle mobile phone me setting check ki jati hai. Kisi bhi mobile phone ko repair me setting check krne ke bad hi mobile phone ko open or disassemble krke hardware faults ko repair kiya jata hai. Kisi bhi mobile phone hardware faults ko pahle software process se solve karenge or bad me hardware faults solve process se. Kya aap janana chahate hai ki mobile phone setting me kis parts ki setting ko kaise check kare. Yes, Aap mobile repairing me sub kuch janana chahate hai, A-Z mobile repair course learning krna chahate hai. Isliye aap mobile phone ki setting ko check krna sikhna chahate hai to check kaise karte. Aaiye sikhte hai.

Aaj ke lesson me aapko sikhaya jayega ki kaise aap kisi bhi mobile phone ki hardware faults or problems ko hardware process se repair krne se pahle mobile phone ki setting me jakar solve kar skte hai.

Mobile phone ki setting kaise check kare:
Nokia, Samsung, Vivo, HTC, Apple, LG, Oppo, Motorola, Android mobile phones, China mobile phones or All others mobile phones me setting check krna bahut hi aasan hai. Iske liye aap mobile phone ke MENU me jaye or Setting per click kare. Ab aapko jis parts se related setting check krna hai use setting option me found kare or jaroori changes krke proble solve kare. Mobile phone me SIM, Camera, Display, Ringer (Loudspeaker), Speaker, MIC, Vibrator, Network, Light, Date or Time, Sync or Backup, Wi-fi, Bluetooth, Language or others setting option diye hote hai jisme jaroori changes krke koi bhi problems solve kr skte hai

Mobile hardware repair me parts ki setting kaise check kare:
Mobile phone setting me hardware problems ko kaise solve kare, aaiye jante hai setting me kaise check kare
Display Screen Faults or Problems: Display screen se related kisi bhi problems ko hardware process se solve krne se pahle mobile phone ki setting jaroor check kare. Isase ek baat clear ho jati hai ki parts ki fault mobile phone ke setting me ya pcb bord per. Agar Display ki fault setting me hai ho to use jaroorat ke anusar change krke adjustment karenge. Yadi display fault setting me adjustment krne ke bad bhi solve na ho to hardware process se solve karenge. Ab aapko samajh me aa gaya hai ki kisi bhi part ki hardware fault ko pahle setting me check krke phir mobile phone ke screw open krke hardware process se solve karenge.

Ringer Faults or Problems: Mobile phone ringer not working is problem ko solve krne ke liye aap mobile phone ke screw open krke ringer ko hardware process se solve karenge. But aap tabhi success honge jab aap mobile phone ki kisi bhi fault ko sabse pahle mobile phone ki setting ko check krke shuru kare. Jaise mana ki ringer se sound nahi aa rahi hai. Aap ne sbse pahle ringer ki setting ko mobile phone me check kiye bina hi mobile phone khola or ringer change kr liya. Phir bhi fault thik na hui or aapne mobile phone ki pcb se ringer IC ko heat, reball or change bhi kar diya but problem solve na ho payi. Kyon nahi hui ringer se sound nahi aane ki fault thik jab aapne hardware process se solve krne ki puri koshish ki. But aapne is fault ke solution ke first step ko nahi kiya. First step yah hai ki aap mobile phone ki setting me ringer volume ko check kare. Isliye mobile phone ki setting me sabse pahle jaroori changes krke dekh le phir mobile phone ko open krke repair kare.

Speaker Faults or Problems:  Call ke dauran speaker se sound nahi raha hai ya sound dhire aa raha hai to sabse pahle mobile phone ki call volume ko increase kar de. Phir bhi fault solve na ho to mobile phone ko open krke hardware process se thik kare. Mobile phone me speaker not working, less sound problems ko solve krne se pahle call volume ko chack krna bilkul na bhoole.

Vibrator Motor Faults or Problems: Mobile phone ki setting me vibrator setting ko check kare ki ON ya OFF. Vibrator OFF hai to ON karde. Yadi vibrator not working ki fault ya problem solution na ho to hardware process se solve kare.

MIC Microphone Faults or Problems: Mobile phone ke call ke dauran aapki sound samne wake person ko sunai na dati hai to sbse pahle mobile phone me MIC ki setting check kare. Agar phir bhi faults solution na ho mobile phone mic faults or problem ko hardware process se solution kare.

Network Faults or Problems: Agar mobile phone me no network, less network or weak network aa raha ho to mobile phone ki setting me manual network search kare or faults solution na ho to hardware process se thik kare.

Light Faults or Problems: Mobile phone me light not working or less light ki problems ko solution krne ke liye first step hai mobile phone ki setting me jaye or mobile light ki setting check kare. Yadi light setting OK hai to mobile phone ki light not glow faults ko hardware process se solve kare.

SIM Faults or Problems: Mobile phone me call receive or bheja nahi ja raha hai but sim or mobile phone OK hai to mobile phone setting me jaye or Flight Mode ON hai to Off kar de. Kyonki mobile phone me flight mode on hoga to mobile phone me network nahi aayega.

Camera Faults or Problems: Mobile phone ke Camera setting ko check kare. Camera setting OK hone ke bad hardware process se faults ko solve kare. Mobile phone repairing me any parts ki faults ko solve krne ka first step hai mobile phone ke setting check kare.

Bluetooth, Wi-FI, FM Radio, Date or Time Faults or Problems: Mobile phone me Bluetooth, wi-fi, fm radio, date or time ko problems ko hardware process se solve krne se pahle mobile phone ki setting me inki setting jaroor check kare.

Notes: Mobile phone ki setting me faulty part ki setting check krne ke bad hi mobile phone ko open krke hardware process se solve kare.

E-Book को Buy करने से सेकर Download तक का तरीका जानें - CLICK HERE

Join Our Telegram Channel - Click Here