RAM IC - Mobile Repairing PCB Par RAM IC Ki Identify Works Faults Hindi Me Sikhe


RAM IC – Random Access Memory: Identification, Works and Faults in Hindi
Mobile repairing course in Hindi me is lesson me aap mobile phone pcb circuit board per RAM IC ki pahchan krna sikhenge. Kisi bhi cell phoe ki pcb ko samajhne ke liye us per lage all parts or ic ki pahchan hona bahut hi jaruri hota hai. Mobile phone pcb per 3 types ke parts lage hote hai – card level, big or small parts. Mobile phone repair krne ke liye aapko pcb per lage all parts ic ki jankari hona bahut hi important hai


Mobile phone pcb ko two main section me divide kiya gya hai – 1. network section, 2. power section.  RAM IC mobile phone ke pcb par power section ke big part hota hai. to chaliye shuru krte hai mobile ki motherboard per RAM IC ki pahchan krna

Identification:
Yah mobile phone ke circuit board per power section me lagti hai. yah black colour ki hoti hai. Aajkal ke mobile phone me yah flash ic ke sath me hi bani hoti hai. Flash ic ki pcb par pahchan krna bahut hi aasan hai, flash ic pcb par cpu or power ic se patli (पतली) hoti hai. flash ic aaytakar hoti hai.
How to identify Ram ic on pcb of a mobile phone | All IC identification on PCB circuit diagram | Mobile Phone Repairing Course | iphone Repair | cell phone repair Hindi me
Works: RAM IC mobile phone me operating system ke command send krne or receive krne ka karya krti hai. Call logs – missed, receive or dial calls is ic ke dwara hi mobile phone me temporary stores hokar rahte hai

Faults: RAM IC ke karya na krne per mobile phone me ye faults hoti hai
(A). Mobile phone dead ho jana.
(B). Phone me software related problems hona.
(C). Cell phone bar bar hanged hona.

Notes: Latest mobile phones or smartphone me yah ic alag se pcb per nahi lagi hoti, flash ic ke sath hi banakar pcb per laga diya jata hai.
Mobile phone repairing online in Hindi ko apne friends ke sath jarur share kare. Ho sake aap pratyek jarurtmand logo tak share kare. Mobile phone repair krna sikhte rahiye. Aapko ek bhi lesson miss nahi krna hai. Nahi to aage hardware faults solution ko sikhte time aapko problem face krni pad skti hai.