PCB Introducation & Identification
Electrolytic Capacitor Identification in Hindi
Electrolytic Capacitor – Identifiction, Works or Faults in Hindi
Mobile Phone PCB per is type ke capacitor 1-2 hi lage hote hai. Kuch mobile handsets me yah battery connector ke aas-paas laga hota hai. Yah capacitor non electrolytic capacitor ke shape or size ke compare me bahut bada hota hai. Is capacitor ko short me mobile repair technician ‘filter’ bhi kahte hai. Kyonki yah capacitor current ko filter krta hai. Is capacitor ki pcb per pahchan krne ke liye apne pas kisi phone ki pcb ko lijiye.
Identification:
Mobile Phone ki pcb per yah 2 colour me laga mil jata hai –
1. Black Colour Ke Sath Ek Side White Dhari
Yah black colour ke sath white dhari ke sath milta hai. Isme dhari wala point positive (+) hota hai. Isliye ise pcb per hathate or lagate time dhari wala point kis or iska khas dhyan rakhe.
2. Orange Colour Ke Sath Ek Side Brown Dhari
Orange colour ka hota hai or Brown colour ki ek side dhari hoti hai.
Works:
Yah Current ko filter krta hai or current ko stores bhi krta hai.Faults:
Iske kharab hone per current filter nahi ho payega or current stores bhi nahi hoga.
Notes: Electrolytic Capacitor me Dhari wala point positive (+) ka hota hai. Isliye yadi yah faulty hota hai to ise remove krte time dhyan rakhe ki iska + point kis or solder huya tha. Solder krte time positive point ki or hi dhari rakhe.
Practice:
Apni mobile phone ki PCB per check krke pata kare – aapke phone me kis colour ka electrolytic capacitor laga hai or uski location ka pata kare.
Kya Aap Jante Hai ?
Non electrolytic capacitor ke compare (tulna) me Network Capacitor 2-3 guna adhik bada hota hai. Jo pf capacitor ki tarah hi dikhta hai. Lekin isse height or width me kai bada hota hai.
Mobile repairing sikhna aasan hi nahi, bahut aasan hai. Aap continue sikhte rahiye kuch time bad aap mobile repair krna sikh jayenge. Ab aapke sapne ke bich aapki financial problems nahi aayegi. Sikhte rahiye, smile ke sath.
हाउ टु डाउनलोड |