मोबाइल रिपेयरिंग कोर्स
Logic IC Ki Mobile Repairing Me PCB Par Kaise Pahchan Kare | Logic IC Works or Faults Hindi Me
Logic/UI IC: Identification, Works and Faults in Hindi
Logic IC ki mobile phone ko repairing krte time pcb circuit board par kaise pahchan kare. Aajkal ke mobile phones me latest technology se pcb par parts or IC kam hote ja rahe. Old phone sets me alag-alag part ki alag-alag ic lagi hoti rahti thi wahi aajkal ke mobile phone me kafi different aa gaya hai. Ab 3-4 parts ki ic ko milakar ek ic banakar pcb par laga diya jata hai. isse pcb par kam se kam jagah par all parts lag jate hai.
Pahle ki phones ke compare me aaj ke cell phones me bhi small parts kam lagte hai. Aap isko aise yaad rakh skte hai ‘ Jitna Mahnga Phone honga uski pcb par kam parts or Jitna sasta phone honga uski pcb par adhik parts honge’. Aaj ke phones me UEM IC 3-4 IC se milkar bani hoti hai jaise –

UEM IC = Power IC + Charging IC + Audio IC + Logic IC.
Flash IC = RAM IC + ROM IC + Flash IC.
PFO IC = PFO + Antenna Switch.
Agar aapko kisi phone ki pcb par kuch ic nahi mile to aap samajh skte hai ki yah ic kis ic ke sath lagi hai. Jaise aapne audio ic ko pcb par khoja par aapko nahi mili to aap yah samajh gaye ki audio ic power ic ke sath me hi lagi hai. in formulas ko yaad kar le. Isse aapko pata rahega ki konsi ic kiske sath me hi bani hoti hai. Ab agar kisi phone par aapko logic ic nahi milti hai to aapko yah gyat rahega ki yah Power IC/UEM IC ke sath lagi hai. to chaliye shuru krte hai.
Identification:
Mobile phone ki pcb per kisi bhi section lagi mil jati hai. Yah ic 20 pins ya legs ki hoti hai. dono side 10-10 legs ya pins lagi rahti hai. Logic ic ko UI or interface ic ke naam se bhi jana jata hai.
Works: yah ic mobile phone me vibrator, led or ringer ke works ko control krti hai. Jin mobile phones me ringer ic or light ic nahi lagi hoti hai umne ringer or led ke works ko is ic ke dwara hi control kiya jata hai.

Faults: Logic ic ke faulty ho jane ye khrabiya aati hai –
(A). Vibrator not working, Vibration not working.
(B). LED not working.
(C). Ringer not working.
Mobile phone repair course me pcb per ic ko samajhne kuch confuse ho skta hai. Aapko bas ye yaad rakhna hai ki konsi ic ken a milne par kis ic ke sath me lagi hoti hai. Mobile repairing course Hindi me sikhete rahiye.
हाउ टु डाउनलोड |