Rectifier Diode: Identificion, Works or Faults in Hindi

Mobile cell phone repair course online in Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge ki mobile PCB yani motherboard per Rectifier Diode ki pahchan kaise kare. Iske karya or khrabiya kya hai. Mobile phone ki pcb per four types ke diode lage hote hai – Charging diode, photo diode, rectifier diode or led. Abhi aap diode k ek type rectifier diode ki PCB circuit board per identification krna sikhenge. To chaliye shuru krte hai.
 

Identification:

Rectifier diode black colour ka hota hai. Yah mobile phone ke pcb per kisi section me laga mil jata hai. Yah charging diode se height me dauguna hota hai. Yah dikhne me IC ke tarah dikhai deta hai. Lekin iske side me legs pcb per solder hui dikhai deti hai
mobile phone repair krna sikhe - pcb circuit board motherboard per small parts - rectifier diode ki pahchan kaise kare | karya or khrabiya

Works: 

Yah mobile phone me AC current ko DC current me convert krne ka karya krta hai.Yah current ko one direction me pass krta hai. Yah reverse direction me current pass nahi krta

Faults: 

Iske khrab ho jane per current ka AC to DC me convert hone ka karya band ho jata hai.

Practice:

Mobile phone ki pcb lijiye or us per uper batayi rectifier diode ki identification ke anusar iski khoj kare.

Kya Aap Jante Hai ?

Mobile phone ki PCB per sbse adhik small parts hote hai, Diode ek small part hai. But diode ke 3 types small parts me aate hai – charging diode, rectifier diode or photo diode etc. Lekin Light Emitting Diode (LED) mobile phone ke card level part me aata hai.

Aapne Kya Sikha ?

Iske liye aapko apna ek TEST lena hai, jisme aapko koi 5 small parts ki pcb per identification bataani hai. Ek bar test complete hone ke bad aap apne test ka evaluation kare. Is type se time – time per apna test lete rahe ki aap kitna sikh rahe hai. Jab tak aap khud krke nahi sikhenge, tab tk aap kuch bhi perfect tarike se nahi sikh rahe hote hai.  

Mobile cell phone repairing training course online in Hindi me continue sikhte rahiye or muskrate rahiye. Mobile repair course Hindi me sikhna ab or bhi aasan honga jab aap mobile phone ki PCB per all small parts ki identification krna sikh jayenge, tab aap mobile phone ki pcb ko aasni se samajh skte hai.

हाउ टु डाउनलोड