Card & Chip Level Repairing
मोबाइल रिपेयरिंग में Transistor को PCB पर Remove व Solder करना सीखें हिन्दी में
Transistor Ko PCB Board Par Lagana or Hathana Sikhe
Aaj ke lesson me aap mobile phone card or chip level repairing (मोबाइल रिपेयरिंग) me Transistor ko PCB par hathana (Remove) or lagana (Solder) sikhenge. Cell phone, iPhone, Android Smartphone ki pcb board par Transistor ko kaise hathate or lagaate hai. PCB par kisi bhi part ko aasani se hathaya or lagaya ja skta hai. Mobile phone ke kisi bhi type ke parts ko pcb se remove or pcb par kisi bhi part ko solder krne ke liye kuch jaruri mobile repairing tools aapke paas hone chahiye –
- Soldering Iron
- Micro Soldering Iron
- SMD Rework Station (Hot Gun)
- Soldering Wire
- Soldering Paste
- PCB Holder
- Tweezers
- Digital Multimeter
PCB Par Parts Ko Kyon Hathana or Lagana Chahiye –
Aapko mobile phone ki kisi bhi hardware faults ko fix krke repair krne ke liye pahle pcb par all types ke parts ko hathana or lagaana achhi practice ke sath sikhna hai. Kisi bhi hardware problems ka hum direct solution nahi kar skte. Faults ka solution step by step process ko follow krte huye kiya ja skta hai. Mobile phone repairing me kisi bhi part ke faulty ho jane par us part ko pcb se remove kiya jata hai or uske place par new part ko solder kiya jata hai. Koi parts faulty hai ya nahi yah multimeter se check kiya jata hai. Jin parts ko multimeter se check nahi kiya skta un parts ko pcb se remove karke fir se resold kiya jata hai or fir bhi fault solve na ho to change kiya jata hai, Jaise mobile phone ke big parts or IC.
Transistor Ko PCB Se Kaise Remove Kare
1. Mobile phone ki PCB circuit board ko PCB Holder me set kare.
2. Ab jis Transistor ko pcb se hathana hai us par thora Soldering Paste lagaye.
3. SMD Rework Station (Hot Blower Gun) ke Power Switch ko ON kare. Hot Air or Temperature ko set kare. Aap shuru me low temperature par hi is part ke upar hot air de. Air ko aap shuru me 3 par rakhe.
4. Ab ek hand me hot gun ke handle ko pakade or dusre hand me ek tweezers ko le. Hot gun ke handle ko Transistor ke upar dhire dhire ghumate rahe. Jab tak ki yah part apne aap pcb se alag nahi jo jata hai. Alog hone ke bad tweezers se pakadkar pcb se hatha de or Hot Gun ke power switch ko OFF kare de.
Notes: PCB se is type ke capacitor ko SMD Rework Station se hathate time in baato ka specially dhyaan rakhe –
1. Aap mobile repairing me new hai isliye aap yah practice kisi khrab mobile phone ki pcb se hi kare.
2. Rework station ke air ko hamesha low rakhe, taki remove krne wale part ke pass wale part damage na ho.
3. Hot gun ko pcb se thora upar yani door rakhe. Bilkul part ke upar lagakar kabhi bhi hot air nahi deni chahiye.
4. Jab tak part apne aap pcb se hat nahi jata hai tab tak aap kabhi bhi tweezers se part ko pakadkar pcb se nahi khinche.
5. Agar part ko tweezers (चिमटी) se jor se pakadkar khincha jata hai to part pcb se jad sahit ukhad skta hai. isliye hamesha part ko apne aap pcb se alag hone do uske bad use tweezers se hold krke kisi safe place par rakh dena chahiye.
Transistor Ko PCB par Kaise Solder Kare
1. PCB Board ko PCB Holder me carefully set kare.
2. Ab pcb ke jis place par yah part solder karna hai us place par soldering paste lagaye.
3. Ab ek hath me tweezers se Transistor ko pakade or pcb par jaha solder karna hai waha rakhe.
4. Ab Micro Soldering Iron ke Power Button ko Switch ON kare or kuch time hot hone de.
5. Ab dure hath se Micro Soldering Iron par thora se soldering wire le or wire pighlane de. Ukse bad is part ke pcb par solder hone wale dono side ke point par soldering kar de.
6. Ek bar soldering complete ho jane ke bad Multimeter se part ko check kar le.
Notes: Is mobile phone ke small part ko pcb se solder krte time rakhi jane wali savdhaniya –
1. Soldering iron ko utna hi garm kare jitna part solder ho jaye, kabhi bhi adhik hot na kare or aage ki nib ko apne hath se na touch kare.
2. Soldering Iron ko apne hath me pen ki tarah pakade.
3. Small parts ko solder krne ke liye hamesha Micro Soldering Iron ko use me le.
4. Jis part ko solder karna hai us par hi soldering kare, kabhi bhi paas wale parts par soldering na kare.
5. Soldering Iron ka use hone ke bad usko soldering iron stand me rakh de.
6. Agar aap new hai to kisi kharab mobile phone ki pcb board par yah practice kare.
SMD Rework Station Se Solder Karna –
Aap Transistor ko Hot Gun se bhi PCB par solder kar skte hai –
1. Mobile phone ki PCB Circuit board ko PCB Stand me set kare.
2. PCB ke jis place par yah part lagana hai us par soldering paste lagaye.
3. Hot gun ke power button ko Switch ON karke Temperature or Hot Air ko low level par set kare.
4. Ab ek hand me is part ko Tweezers se pakadkar pcb par waha rakhe jaha par is part ko solder karna hai.
5, Dusre hand me Hot Gun ke handle ko pakadkar is part ke upar ghumate rahe jab tak hi yah part khud pcb se alag na ho jaye. Alag ho jane ke bad tweezers ke pakadkar side me rakh de.
Notes: Aap upar batayi SMD Rework Station ko use krte time rakhi jane wali savdhaniya ka khas dhyaan rakhe.
Online free mobile phone card & chip level repairing course in Hindi ko continue sikhte rahiye. Agar aapko pasand hai to Is course apne friends ke sath jarur share kare. Aap new lesson ke janakri ab apne email par bhi pa skte hai. Jab bhi hum MobiTechCareer.Com par new lesso publish karenge. Uski jankari turant aapko apne Email inbox me mil jati hai. Iske liye aapko free email subscription lena honga. FREE Email subscription lene ke liye yaha par click kare.
हाउ टु डाउनलोड |