Android Smartphone
Samsung Galaxy J7 Phone Water Drop Damaged Problems Solution in Hindi
Samsung Galaxy J7 - Water Damaged Solution in Hindi
Aaj ke lesson me aap Wet Water Damaged phone problems solution in hindi sikhenge. Phone water, tea, coffee, wine, rain or other liquid me drop karne se damaged ho jata hai. Water damage phone dead ho jaane se karya karna band kr deta hai. Pani me gire phone ki fault ko solve karna bahut hi easy hota hai or ise koi bhi apne ghar par bhi repair kar sakta hai. Agar phone open karke disassemble karna aata ho to aasani se koi bhi wet water damage phone ki problem ko fix or solve kar sakta hai. Samsung service center water damage phone ki repairing warranty me nahi karte hai. Phone repairing me water damage phone ko repair karna bahut easy hota hai. Phone me water jaane se phone working karna band kar deta hai. Phone water damage problems ka solution process all mobile brands ke liye same rahega.
Phone ki kisi bhi fault or problems ko solve hamesha step by step kare. Isse fault ko fix karke phone repair karna bahut aasan ho jata hai. Aaiye wet water drop phone problem ko kaise step-by-step solve kare jante hai.
Samsung Galaxy J7 - Water Damaged Faults & Problems Solution:
1. Water drop phone ko switch off karke battery ko turant bahar nikal de. Phone me battery dobara na lagaye jab tak PCB se water ko sukhaya na jaye.
2. Phone ko upyukt screw driver se all screw open karke kisi safe box me rakhe, taki phone ko assemble karte time screw aasani se mile.
3. Phone ki display me water gaya ho to pcb se display ko hataaye.
4. Phone ki pcb par speaker, mic, ringer etc. wire se solder hai to inhe pcb wash karne se pahle hataaye ya side me kare.
5. Phone ki pcb ko IPA Solution se 3-4 baar acchi tarah se brush se wash or clean kare.
6. PCB par SMD Rework Station (Hot Gun) se halki-halki heat de. Agar aap ghar mobile repair kar rahe hai to ipa solution water se wash karne ke bad sunlight me 2-3 hours sukha de.
7. Phone ke all parts assemble karte huye screw kase or Phone me full charge battery lagakar switch on kare.
Notes: Agar Phone work nahi karta hai to phone ko charging par lagaye or dekhe charging ho raha hai ya nahi. Yadi ab bhi phone work nahi kar raha hai to phone ke others parts ko check kare or faulty parts ko hardware process se check kare.
Tags: mobile, cell phone, android, samsung, smartphone, repair, how to fix, repair, solve, drop, water, fall, damaged, samsung galaxy j7, phone not work, faults, problems, solution, kaise kare hindi me, tips, guide in hindi
हाउ टु डाउनलोड |