Battery Charger Ke Volt Ko Multimeter Se Kaise Check Kare
Aaj ke lesson me aap sikhenge mobile cell phone repair iphone repair or Smartphone repairing me battery charger voltage ko multimeter se check kaise kiya jata hai. Mobile repairing me battery charging ki hardware faults or problems ko fix krne ke liye charger ke voltage ko multimeter se testing krke yah malum kiya jata hai ki battery ka charger thik hai ya phir khrab ho chuka hai. how to repair fix solve mobile cell phone battery charging faults or problems. Mobile phone repairing me charger ke voltage ko digital mulitmeter se check krne se pahle aap ye lesson jarur read kare


To chaliye shuru krte hai mobile phone ke charger ko multimeter ko use krke kaise check krte hai. Yaha par diye ja rahe in simple steps se aasani se phone hardware repair me charging related problems me charger ko check kar skte hai.

Battery Charger Voltage Ko Multimeter Check Krna Sikhe
1. Multimeter ke Selector Rotatory Switch ko ghumate huye 20 Volt DC Current Mode par set kar rakhe

2. Ab mobile phone ke charger ko pcb par lage charger connector (socket) se connect kare. Multimeter ki Red or Black probes ko charger connector ki dono taraf ki side wali pahli legs par rakhe. Probes ko change krke lagaye

Mobile phone repairing smartphone repairing cell phone repair iphone repair me digital multimeter ko use parts check krne me kaise krte hai

3. Probes lagane ke bad multimeter ki LCD display screen me 5 se 7 Volt ki value show hongi. Agar itni value show nahi hoti hai to charger kharab hai.

Notes: Kai bar charger ki legs par dono probes ko lagane par negative me 5-7 V DC current show hoti hai. Aise me probes ko change krke lagane par 5-7V ki value positive me show hoti hai.

Ab aap easily mobile phone ke charger ke DC voltage ko multimeter se check krke fault ko pata kar skte hai. mobile phone repair course Hindi me sikhte rahiye. Please ho sake to aap is course ko apne facebook or whatsapp friends ke sath jarur share kare.

सैलेबस जाने हाउ टु डाउनलोड
अन्य कोर्स स्टोर पर जाएँ