PCB Introducation & Identification
Regulator (रेगुलेटर) Identification in Hindi
Regulator: Identification, Works or Faults in Hindi
Mobile Phone Repairing me aaj ke lesson me aap sikhenge ki PCB per Regulator ki pahchan kaise kare, iski karya or khrabiya kya hai. Mobile PCB circuit board per is small part ki identify krna bahut hi aasan hai. Ek acche mobile cell phone repair technician ki quality hai ki use mobile ke all parts ki identify, works or faults ke baare acche se jankari ho. Regulator ki pahchan ke liye ek mobile phone ki PCB lijiye. To chaliye shuru krte hai.
Identification:
Yah mobile phone ki pcb per kuch sections me laga hota hai. Yah black colour ka hota hai. Yah 5-6 legs ka hota hai. Jiske ek traf 2-3 legs or dusri taraf 3 legs hote hai.
Works:
Yah current filter krta hai. Sath hi yah current voltage ko regulates krta hai.Faults:
Regulator ke faulty ho jane per isse connected parts ko current filter hokar nahi milega.Practice:
Mobile Phone ki PCB lijiye or us per ek taraf 2-3 legs or dusri taraf 3 legs wale black regulator ko khoje.
Kya Aap Jante Hai ?
Jaisa ki regulator ke naam se jaan padta hai ki yah pcb per current voltage ko regulates (Control) krta hai.
Important Jankari:
Mobile phone repair sikhne ke liye aapko regular ek student ki tarah sikhna honga. Agar aap chahate hai ki aap complete course step by step learn kare, to aapko continues mobile repairing course sikhna honga. Kisi bhi field me perfect banane ke liye us filed se related chhoti se chhoti jankari hona jaroori hai. Aapka filed mobile repair technician ka hai to aapko repairing se related all jankari honi chahiye.
Aapne Kitna Sikha Hai –
Aapne apna test liya ki aap, kitna sikhe hai. Aapko small parts ki kitni jankari hui hai. Aap pcb per kitne small parts ki pahchan kar lete hai. Iske liye aap khud ko kisi part ka naam ka nirdesh dekar pcb per khoje.
हाउ टु डाउनलोड |