Digital Multimeter Tutorials
Photo Diode Ko Multimeter Se Mobile Repairing Me Check Krna Hindi Me Sikhe
Photo Diode Ko Digital Multimeter Se Kaise Check or Testing Kare
Mobile phone or Smartphone ki hardware problems ko fix or repair krte time PCB circuit board par small parts ko multimeter se check krke fault ki finding ki jati hai. pcb par Photo Diode faulty hai ya sahi hai ye multimeter se check kiya jata hai. mobile repair krne ke liye multimeter bahut hi useful hai. Iske bina aap kisi bhi faults ko solve nahi kar skte.
Multimeter se parts check krte huye step by step aasani se hardware problems ka solution kiya ja skta hai. Mobile phone motherboard par small parts ki pahchan krne ke sath unko check krna bhi aana jaruri hai. Aap multimeter se kisi bhi part ko easily check or testing kar skte hai. Kisi bhi mobile phone parts ko pcb par check check krne se pahle aapko us part ki printed circuit board par identification krna aana chahiye. Aaj ke lesson ko easily samajhne ke liye pahle ye lessons jarur read kare –
Is lesson ko practically sikhne ke liye aapke paas kisi bhi purane khrab mobile phone ki ek pcb curicuit board or ek digital mutlimeter ko aap apne near ke kisi electronic market or mobile phone spare parts shop se buy kar skte hai. Aap ise online from flipkart se bhi buy kar skte hai. Filpkart se buy kare. to chaliye shuru krte hai ki mobile phone repair me pcb circuit board par lage Photo Diode ko multimeter se kaise check kare.
Photo Diode Ki Fault Finding, Check or Testing Krna Sikhe
Photo Diode ko multimeter me check krne ke simple steps –
1. Mulitimeter ke Selector rotatory switch ko ghumate huye Beep Mode par le ja kar set kare. Ad dono probes (black or red wire) ki nib (aage ka sui jaisa bhag) ko aapse me touch kare or sune, agar beep ki sound aati hai to aapka multimeter beep mode par set ho chuka hai.
2. Beep mode par set krne ke bad Black or Red probes ko Photo Diode ke dono side ki legs (Photo Diode ka pcb par solder hone wala leg jaisa bhag) par rakhe. Leg wale small parts par probes is type se rakhi jati hai is picture se samajhe –
3. Ab Multimeter ki LCD Screen me dekhe. Screen me kuch number dikhai denge. Ab Photo Diode par probes ko change krke lagaye yani ulta krke lagaye. yadi ab kuch bhi number show nahi hote hai to Photo Diode OK hai, thik hai. Yadi dono taraf se probes ko change krke Photo Diode ki legs par lagaya jata hai or dono bar hi kuch bhi number show hote rahte hai to Photo Diode khrab hai. Aap ise is type se bhi yaad rakh skte hai –
3. Ab Multimeter ki LCD Screen me dekhe. Screen me kuch number dikhai denge. Ab Photo Diode par probes ko change krke lagaye yani ulta krke lagaye. yadi ab kuch bhi number show nahi hote hai to Photo Diode OK hai, thik hai. Yadi dono taraf se probes ko change krke Photo Diode ki legs par lagaya jata hai or dono bar hi kuch bhi number show hote rahte hai to Photo Diode khrab hai. Aap ise is type se bhi yaad rakh skte hai –
Ek Bar Number Dikhaye To - OK Hai.
Dono Bar Number Dikhaye To – Faulty Hai.
Note: Photo Diode ko multimeter ki probes ko aapse me badalkar yani probes ko ulta krke check kiya jata hai. Maan lijiye pahle aapne Photo Diode ki leg 1 par Red probe or leg 2 par black probe ko lagaya. Ab probes ko change ya ulta kiya to ab aapne leg 1 par Black probe or Leg 2 Red probe lagakar check kiya. Ab dono baar check krne par ek bar number dikhane par Photo Diode sahi hota hai or 2 baar hi check krne dono bar number dikhaye to Photo Diode khrab hai.
Mobile phone repairing course in Hindi me lagatar sikhte rahe or agar aapko yah lesson pasand aaya ho to apne friend’s ke sath share krna bilkul na bhule. Please, Jin workless students ko is course ki jarurat hai unke sath share krna bilkul bhi na bhule. Aap apne facebook or whatsapp ke dwara apne friends ke sath share kar skte hai.
हाउ टु डाउनलोड |