Light Emitting Diode (LED): Identification, Works or Faults in Hindi

Mobile repairing me aaj ke lesson me aap sikhenge ki mobile pcb circuit board per light emitting diode yani LED ki pahchan kaise kare. Yah ek light hoti hai jo mobile phone ke keypad or display screen me lagi hoti hai. Yah mobile phone ka card level type ka part hota hai. Yah white, yellow, blue or green colour ka hota hai. Adhiktar mobile phone me yah yellow colour ka laga hota hai. Mobile phone PCB board per led ki pahchan krna bahut hi aasan hai. Kyoynki yah ek light hai. To chaliye shuru krte hai motherboard per led ki pahchan krna or jante hai iske karya or khrabiya kya hoti hai.
 

Identification:

Yah PCB per white, yellow colour me adhik laga milta hai. Yah shape or size me lagbhag charging diode ki tarah ki dikhai deta hai. Jo PCB per dono taraf legs se solder huya hota hai
mobile phone repair krna sikhe - pcb circuit board motherboard per small parts - led light ki pahchan kaise kare | karya or khrabiya

Works: 

LED mobile phone ke keypad buttons or display screen me light jalaane ka karya krti hai

Faults: 

Iske faulty ho jane per keypad or display me light nahi jalegi.

Practice:

Ek keypad mobile phone ki pcb lijiye or us per led light ki khoj kijiye.

Kya Aap Jante Hai ?

Mobile cell phone pcb circuit board per led light ki pahchan krna sbse pahchan hai. Yah pcb per keypad tickly/tips ke aas-pas lagi milti hai. Light sections me LED light PCB per series or parallel connections me hoti hai.

Mobile phone repairing course me small parts ki pcb per pahchan krne ke lesson lagbhag complete hone wale hai. Ab aap all small parts ki mobile motherboard per pahchan kar chuke hai. Aapne kitna sikha, yah janane ke liye apna TEST lete rahe. Mobile repair course online in hindi me continue sikhte rahiye or apne face per hamesha ek muskan rakhe.

E-Book को Buy करने से सेकर Download तक का तरीका जानें - CLICK HERE

Join Our Telegram Channel - Click Here