Mobile Phone PCB Circuit Board Per Sections

Mobile phone repairing course me aaj ke lesson me aap learn karenge ki pcb per sections kya hai, yah kaise bane hote, inke krya kya hai. Mobile phone repair krte time pcb per different sections ki jankari hona bahut hi jaroori hai. Free complete full mobile cell phone repair training course in Hindi sikhte rahne ke liye aapka dhnaywad. Mobile printed circuit board per three types ke parts lage hote hai jinke naam hai – card level, small or big parts. PCB per kisi bhi section me in three types ke parts sath me lage hote hai. To chaliye shuru krte hai pcb per sections kya hai ?

👉 PCB Per Two Main Section: Network Section and Power Section

Mobile phone pcb circuit board par main section or parts section
PCB Par Two Main Sections
JIs type se kisi bhi karya ko perfect krne ke liye state governments alag lag vibhag banati hai. Un vibhago se alagalag karya kiye jate hai. Usi tarah se mobile phone PCB per pratyek parts ke apne alg alg section bane hote hai, jisse har ek parts ka section apna karya perfect tarike se karta hai. Circuit board per mainly 2 sections bane hote hai: 1. Network Section, 2. Power Section. Adhiktar mobile phones me network section pcb per power section se uper bana hota hai. Is section me power section ki tulna me small parts adhik lag hote hai jabki big parts or IC bahut kam lage hote hai. Chunki power section  network section se kai adhik vyapak hai

👉 Mobile Phone PCB per Parts or Section

Yahan per only hum un parts ke naam bata rahe hai jinke section pcb per alg-alag bane hote hai. Pratyek part ke section me us parts se lekar uski IC tk ka track way hota hai. Agar yah track broken hote hai to jumper wire ke dwara reconnect kiya jata hai. Part or IC ke bich me small parts lage hote hai Jaise – capacitor, resistance, coil or others small parts etc. Aaiye jate hai kin parts ka pcb per alg section bana hota hai. Jinke naam hai
1. Display Section
2. Network Section
3. Headphone Section
4. Bluetooth Section
5. MIC Section
6. ON/OFF Switch Section
7. FM Radio Section
8. Battery Charging Section
9. Vibrator Section
10. Keypad Section (keypad handset me)
11. SIM Card Section
12. Memory Card Section
13. Keypad Backlight Section (keypad handset me)
14. Display Backlight Section
15. Ringer Section
16. Speaker Section
17. Wi-Fi Section
18. Camera Section
19. Flash Light Section
20. Others Parts Sections

In all parts ke pcb per sections naam read krne ke bad aapko yah pta chala kiJitne bhi card level parts PCB per direct ya indirect connect hote hai un sabhi ke section pcb per bane hote hai. Mobile phone repairing ke next lesson me hum in all parts ke section me lage parts or works ke baare me janange. learn continue with smile…

सैलेबस जाने हाउ टु डाउनलोड
अन्य कोर्स स्टोर पर जाएँ