Fuse: Identification, Works or Faults in Hindi

Online free mobile phone repairing course in Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge – Printed circuit board per Fuse ki pahchan kase kare. Fuse ke kya karya or khrabiya hai. Adhiktar mobile phone ki PCB per yah charging section laga hota hai. Charging krte time mobile phone ki safety ke liye fuse ka role important hai. Yah charging IC ke aas-pas laga hota hai. Jiski Pahchan krna bahut hi aasan hai. To chaliye shuru krte hai.
 

Identification:

Yah PCB per Gahre Black colour me laga rahta hai. Jiske dino taraf ki side ki dhari (stripe) white hoti hai. Gahre kaale colour ke bich me ‘K’ or ‘F’ likha hota hai. Kai - kai pe ‘0’ bhi likha hota hai. Shape or size me yah coil ki tarah dihai deta hai per iske bich me kuch words likhe hote hai.


mobile phone repair krna sikhe - pcb circuit board motherboard per small parts - fuse ki pahchan kaise kare | karya or khrabiya

Works: 

Yah Mobile phone ki safety ke liye lagaya jata hai. Charging ke dauran phone ko koi nuksan na pahunche, phone ki safety krna hi iska karya hai


Faults:

Fuse ke kharab jane per phone me charging related hardware problems aati hai. Jaise - mobile phone ka charging hona band ho jana.

Practice:

Mobile Phone ki PCB per N, F or 0 etc. words likhe kisi black colour or white dhari wale part ko khoje.

Kya aap PCB per Small Parts me Confused Hai

Mobile phone ki pcb per koi bhi small part shape, size or colour me ek dusre different hai. Kuch gahle black wale, to kuch halke black ya gray colour ke hote hai. Kuch part shape me chapte hai to kuch chhote – bade. Ek bar aap part ko pcb per sahjata se samajh jayenge to aap aasni se fark krna sikh jayenge. Abhi aap confuse hai to bhi bar bar sikhte rahiye, jab tak aap 2 parts ke bich different pata na kar le. Mobile phone repair course continue sikhte rahe.

E-Book को Buy करने से सेकर Download तक का तरीका जानें - CLICK HERE

Join Our Telegram Channel - Click Here