Resistance: Identifiion, Works or Faults in Hindi

Mobile Phone Repairing me abhi tak aapne jitne small parts ke works jaane, to aapne ek baat ko notice kiya hoga ki pratyek small part ya to current ko filter krne ke karya krte hai, ya fir current voltage ko decrease ya increase krne ka karya krte hai. Ek part current ko stores krke rakhta hai to dusra current ke voltage ko control krta hai. All Smart parts on PCB of Mobile Phone – Sabke different works hai. Aaj ke is lesson me aap sikhenge ki mobile phone motherboard per Resistance ki pahchan kaise kare, iske karya or khrabiya kya hai. Mobile Phone Repair Me Resistance Ki Pahchan Kaise Kare. To chaliye shuru krte hai.

Identification:

Yah pcb per kuch sections me laga hota hai. Resistance pcb per gahre black colour ka hota hai or dono taraf side me white stripe hoti hai, sath hi gahra colour chamakdar hota hai. Yah dikhne me chapta or patla hota hai. Isliye ise ‘Chip Resistancebhi kaha jata hai. Kuch mobile phones me yah blue or green colour ka bhi laga hota hai. Yah mobile phone PCB circuit board per sabse small electronic component hota hai.

mobile phone repair krna sikhe - pcb circuit board motherboard per small parts - resistance resistor ki pahchan kaise kare | karya or khrabiya

Works: 

Yah current ko decrease krke aage supply krte hai

Faults:

Iske faulty ho jane per isse connected parts ko current adhik supply honga, jisse part damage ho skta hai.

Practice:

Aap ek mobile phone ki PCB lijiye or us pcb per gahre black colour ka sabse chhota part khojiye.


Kya Aap Jante Hai ?

Network Capacitor 2 ya 2 se adhik Non electrolytic Capacitor se milkar bane hote hai, usi tarah 2 ya do se adhik chip resistance me milkar Network Resistance bane hote hai.

Mobile phone repair course online in Hindi me sikhte rahiye or khush rahiye. Mobile phone Repairing course continue learn kare.

E-Book को Buy करने से सेकर Download तक का तरीका जानें - CLICK HERE

Join Our Telegram Channel - Click Here