Network Crystal: Identifiction, Works or Faults in Hindi

Mobile phone repairing course or cell phone repair training course online free in Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge ki PCB circuit board per small parts me Network Crystal ki pahchan kaise kare. Iske karya or khrabiya kya hai. Yah pcb per network section me laga hota hai. Basically PCB per network always power section ke uper bana hota hai. Mobile phone ki pcb per various small parts lage hote hai. Unme me se ek Crystal Hai. Jo network section me network IC ke aas-pas laga rahta hai. Mobile repairing me aaj aap iski cell phone motherboard per pahchan krna sikhenge. To chaliye shuru krte hai.
 

Identification:

Yah Printed Circuit Board per network section me laga hota hai. Yah metal ka bana hota hai. Ise26MHz Crystal Oscillatorke naam se bhi jana jata hai. Adhiktar mobile handsets me yah PFO ke pas laga hota hai. Yah metal ka bana hota hai isliye yah dikhne me Silver ya Gold colour ka hota hai.

mobile phone repair krna sikhe - pcb circuit board motherboard per small parts - network crystal ki pahchan kaise kare | karya or khrabiya

Works: 

Yah network filter krne ka karya krta hai. Yah outgoing calls ke dauran frequency create krta hai

Faults: 

Yadi yah khrab ho jata hai to mobile phone me outgoing call nahi lagega or no network ki problems aati hai.

Practice:

Aap ek cell phone PCB ko le or us per metal ka bana koi part khoje jo network section me laga hota hai. Network section pcb per sabse uper bana hota hai.

Kya Aap Jante Hai ?

Mobile phone repairing ek aisa technical course jise kam time me sikha ja skta hai or mobile repair krke bahut kam time me adhik dhan earn kiya ja skta hai. Jo aapke hoonar or work capacity per depend krta hai. Aap ek din me kitne phone sudhar skte hai, wo aap per nirbhr krta hai. Aaj ke time me kisi bhi course ko sikhne me Internet ka bahut yogdan hai. Jiske dwara aap ek institute se kai adhik sikhte hai.

E-Book को Buy करने से सेकर Download तक का तरीका जानें - CLICK HERE

Join Our Telegram Channel - Click Here