Digital Multimeter Tutorials
Apple iPhone Repair Me Ringer (Loudspeaker) Ko Digital Multimeter Se Kaise Check Kare Hindi Me Sikhe
Ringer (Loud Speaker) Ko Multimeter Se Testing Kaise Kare
Online Free Mobile phone repairing Course in Hindi me aaj aap sikhenge, Ringer ki faults or problems ko repair, fix, solve, solution or sudhar krte time fault ko multimeter se kaise finding or check kare. Mobile repairing me Ringer ko digital multimeter se testing krke yah pata lagaya jata hai ki yah work kar raha hai ya phir faulty (Khraab) ho chukka hai. yah mobile phone ka card level part hota hai.
Ringer mobile phone me audio, video sound, call ringtones, FM radio, alarm sound ko loud sunane ka karya krta hai. Iski sound ko ears se door rakhkar bhi suna ja skta hai. Ringer not working, agar yah faulty ho jata hai to mp3, video, call ring, games, movies, radio or call ko hands free sound par nahi suna ja skta hai. Loud Speaker ko multimeter se check krke fault finding krne ke lesson ko aasani se samajhne ke liye pahle aap ye lessons jarur read kare –
In lessons ko read krne ke bad aap easily Ringer ko multimeter se check krna sikh skte ho. To chaliye shuru krte hai kaise Ringer ko multimeter se check kare. practically sikhne ke liye aapke paas ek mobile phone ka Ringer or ek multimeter jarur hona chahiye. Multimeter ko filpkart se online buy kar skte hai.
How to check Ringer Using a Digital Multimeter (Simple Steps) -
1. Multimeter ke Selector Switch ko ghumate huye Beep Mode (Buzzer) par set kare. Beep mode ki pahchan krna bahut hi easy hai – multimeter par ek hi aisa mode hai jis (beep )mode par dono probes ko aapse me touch krne par beep ki sound aati hai.
2. Cell phone ko carefully open or disassemble krne ke bad Ringer ke dono legs par multimeter ke Red or Black Probes ko rakhe. Agar ringer pcb circuit board se wire dwara juda hai to wire par probes rakhkar check kare.
3. Ab agar Multimeter ke LCD screen me 8 se 10 Ohm ki value dikhane ke sath beep ki sound aati hai to Ringer thik (OK) hai. Yadi itni value beep ki sound ke sath nahi dikhata hai to Loud Speaker kharab hai.
Ab aap mobile phone repair, iphone repair, smartphone repairing me aasani se Loud Speaker ki multimeter se testing krke faults finding kar skte ho. Is course ko sikhana continue rakhe or agar aapko sach me lagta hai ki aap kuch sikh rahe hai to please is course ko social media sites – facebook, whatsapp, google plus, twitter par jarur share kare. Aapke ek share se koi berojgar mobile repairing krne ka hoonar free me sikh skta hai.
हाउ टु डाउनलोड |