Display Screen or Keypad LED Light Ko Multimeter Se Kaise Check kare Hindi Me Sikhe


LED Light Ko Multimeter Se Check Kaise Kare Hindi Me Sikhe
how to check led light using a digital mutlimeter in a mobile phone repairing. Mobile phone repair me LED Light ko digital multimeter se testing krke yah malum kiya jata hai ki yah work kar raha hai ya phir faulty (Khraab) ho chuka hai. Mobile phone me LED Light ki faults or problems ko repair, fix, solve, solution or sudhar krte time fault ko multimeter se kaise finding or check kare.  yah mobile phone ka card level part hota hai
LED Light mobile phone ki display screen or keypad buttons me lights jalakar roshni krne ka karya hai. LED Light not working, Agar yah faulty ho jata hai to display or buttons me light nahi jalegi. LED Light ko multimeter se check krke fault finding krne ke lesson ko aasani se samajhne ke liye pahle aap ye lessons jarur read kare
In lessons ko read krne ke bad aap easily LED Light ko multimeter se check krna sikh skte ho. To chaliye shuru krte hai kaise LED Light ko multimeter se check kare. practically sikhne ke liye aapke paas ek PCB Circuit board or ek multimeter jarur hona chahiye. Multimeter ko filpkart se online buy kar skte hai.  

LED Light Ko Multimeter Se Kaise Krna Sikhe (Simple Steps)
1. Multimeter ke Selector Switch ko ghumate huye Beep Mode (Buzzer) par set kare. Beep mode ki pahchan krna bahut hi easy haimultimeter par ek hi aisa mode hai jis (Beep) mode par dono probes ko aapse me touch krne par beep ki sound aati hai

2. Mobile cell phone ko carefully open or disassemble krne ke bad LED Light ke dono side ki legs par multimeter ke Red or Black Probes ko rakhe

How to check led light using a digital multimeter in a mobile phone repairing in hindi
 3. Agar Light jalne lagti hai to LED Light thik (OK) hai. yadi nahi jalti hai to LED Light kharab hai.

Ab aap mobile phone repair, iphone repair, smartphone repairing me aasani se LED Light ki multimeter se testing krke faults finding kar skte ho. Is course ko sikhana continue rakhe or agar aapko sach me lagta hai ki aap kuch sikh rahe hai to please is course ko social media sites – facebook, whatsapp, google plus, twitter par jarur share kare. Aapke only ek share krne se kisi berojgar ko mobile repairing sikhkar money earning karne ka hoonar mil skta hai.