PCB Introducation & Identification
नॉन इलेक्ट्रॉलायटिक कैपेसिटर (Non Electrolytic Capacitor): पहचान, कार्य व खराबियाँ
Non Electrolytic Capacitor – Identifiction, Works or Faults in Hindi
Mobile Phone Repairing Course in Hindi me aaj ke lesson me aap non electrolytic capacitor (pf capacitor) ko PCB per pahchan krna, uske karya or khrabiya etc. ke baare me sikhenge. Aapke pas koi purana kharab mobile phone h to usko open or disassemble kar lijiye or PCB Circuit Board ko bahar nikalkar carefully rakh dijiye. Cell Phone Motherboard per yah capacitors all small parts ke compare me sabse abhik lage hote hai. Yah network or power section dono me lage hote hai. Circuit board per network section uper hota hai or power section network section se niche hota hai, iska hamesha khyaal rahe.
Identification: -
Mobile Phone Printed Circuit Board per yah capacitor 2 type ke colour me laga hota hai –1. Gray Colour White Stripe (Dhari) Ke Sath -
Is type ke non electrolytic capacitors ke dono taraf ki side white dhari or bich me gray colour hota hai. Jiski PCB per pahchan krna bahut hi aasan hai. Yah network or power section me laga hota hai.
2. Halka Brown/Yellow Colour White Dhari Ke Sath –
Yah halke brown ya yellow colour ke hote hai or inki dono taraf ki side white dhari ki hoti hai.
Works:
Yah pcb per Direct Current (DC) ko filter krne ka karya krte hai.Faults:
Agar yah capacitor faulty ho jata hai to isse connected part ko dc current supply nahi hota hai.Practice:
Ek mobile phone ki PCB le or us per dono types ke colour (Gray or Halke Brown/yellow) wale 4-4 non electrolytic capacitor ki pahchan kare.
Kya Aap Jante Hai ?
Capacitor 3 types ke hote hai –
1. Non Electrolytic Capacitor
2. Electrolytic Capacitor
3. Network Capacitor
Mobile repairing course in hindi me sikhne ke liye bane rahiye humhare sath or sikhe mobile repair ke all lessons in Hindi.
हाउ टु डाउनलोड |