Coil Ko Multimeter Se Check Kaise Kare Hindi Me
Mobile cell phone repair, iphone repair, android or window smartphone repairing me hardware faults or problems ko repair, solve, fix, solution or sudhar krne ke liye coil ko multimeter se check krke fault ko khoja jata hai. how to check coil using a digital multimeter. Mobile repairing course in Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge Multimeter se mobile phone pcb circuit board par lagi coil ko kaise check krte hai. Aap coil ko multimeter se check tabhi kar payenge jab aapko coil ki pahchan pcb par krna aata hai. isliye aap pahle ye lessons jarur sikhe
Coil ko practically check krne ke liye aapke pas me ye 2 equipment or tools hone chahiye
1. PCB Circuit Board Do It Yourself se aap fast or easily mobile repair course sikhte hai. Khud krke sikhne ke liye kisi old or khrab mobile phone ko open or jaruri purje alag krke pcb board ko bahar nikal le. Mobile phone ko open or disassemble kaise krte hai sikhe.
2. Digital MultimeterAap online buy from filpkart se Multimeter ko ghar baithe order krke mangwa skte hai ya apne paas ke kisi electronic market se bhi ise khrida ja kata hai.

Multimeter Se Coil Ko Check Krna Sikhe
Agar aapne multimeter ko buy kar liya hai to aap ise practically sikh skte hai
1. Multimeter me Red or Black Probe ko set kijiye. Selector Rotatory Switch ko ghumate huye Beep mode par set kar dijiye. Beep mode par set huya hai ya nahi ye check krne ke liye RED or BLACK probes ko aapse me touch krke sune. Agar beep ki sound aati hai to aapka multimeter beep mode par set ho chukka hai

2. Beep Mode par set ho jane ke bad black or red probes ki nib ko coil ke dono side ki white stripe (Dhari) par rakhiye. White stripe par probes kaise rakhi jati hai niche diye example se samajhe – 
मोबाइल फोन रिपेयरिंग में Coil को Multimeter से Kaise Check करते है Mobile repairing me coil ko multimeter se kaise check krte hai Hindi me sikhe
 3. Yadi agar beep ki sound aa rahi hai to coil thik hai or agar beep ki sound nahi aati hai to coil faulty hai. Aap ise is type se bhi yaad rakh skte hai
Sound Aane Par –OK.
Sound Nahi Aane Par –Faulty.
  
Aap mobile repairing course ko practically sikhete rahiye. Kyonki khud krke sikhene se mobile cell phone repair krna sikhna or bhi aasan ho jata hai. Mobile phone hardware repairing course me yah lesson bahut important hai inhe bilkul bhi miss na kare agar aapko mobile phone repairing sikhna ho to. Lesson ko repeat kare, friends ke sath share kare or Next lesson ko apne email par pane ke liye free email subscribe kare.

हाउ टु डाउनलोड