Resistance Ko Multimeter Se Check Krna Sikhe Hindi Me
Mobile cell phone repairing course in Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge Digital Multimeter se mobile phone pcb circuit board par lage Resistance ko kaise check krte hai. Mobile cell phone repair, iphone repair, android or window smartphone repairing me hardware faults or problems ko repair, solve, fix, sudhar, or solution krne ke liye Resistance ko multimeter se check krke fault ko khoja jata hai. how to check Resistance using a digital multimeter
Aap Resistance ko multimeter se check tabhi kar payenge jab aapko Resistance ki pahchan pcb par krna aata hai. isliye pahle aap ye lessons jarur sikhe
Resistance ko practically check krne ke liye aapke pas me ye 2 equipment or tools hone chahiye
1. PCB Circuit Board Do It Yourself se aap fast or easily mobile repair course sikhte hai. Khud krke sikhne ke liye kisi old or khrab mobile phone ko open or jaruri purje alag krke pcb board ko bahar nikal le. Mobile phone ko open or disassemble kaise krte hai sikhe.
2. Digital MultimeterMultimeter ek mobile repairing tool hai. Aap online buy from filpkart se Multimeter ko ghar baithe order krke mangwa skte hai ya apne paas ke kisi electronic market se bhi ise khrida ja kata hai.

Resistance Ko Multimeter Se Check Krna Sikhe
Agar aapne multimeter ko buy kar liya hai to aap ise practically sikh skte hai
1. Multimeter me Red or Black Probe ko set kijiye. Selector Rotatory Switch ko ghumate huye Beep mode par set kar dijiye. Beep (Buzzer) mode par set huya hai ya nahi ye check krne ke liye RED or BLACK probes ko aapse me touch krke sune. Agar beep ki sound aati hai to aapka multimeter beep mode par set ho chuka hai

2. Beep Mode par set ho jane ke bad black or red probes ki nib ko Resistance ke dono side me pcb par solder huye legs par rakhiye. Legs wale parts par probes kaise rakhi jati hai niche diye example se samajhe – 
मोबाइल रिपेयरिंग में मल्टीमीटर से रैजिस्टेन्स को कैसे चैक करे मोबाइल रिपेयर करना हिन्दी में सीखें
 3. Yadi agar beep ki sound aa rahi hai to Resistance thik (ü) hai or agar beep ki sound nahi aati hai to Resistance faulty (×) hai. Aap ise is type se bhi yaad rakh skte hai
Sound Aane Par –OK.
Sound Nahi Aane Par –Faulty.

Notes: Resistance ko multimeter ke selector switch ko 200k par set krke bhi testing kar skte hai. Red or black probe ko resistor ke dono side ki white stripe par rakhe, agar Multimeter ki LCD screen me right side me number show krta hai to OK hai or nahi krne par faulty. 

Aap mobile repairing course ko practically sikhete rahiye. Kyonki khud krke sikhene se mobile cell phone repair krna sikhna or bhi aasan ho jata hai. Mobile phone hardware repairing course me yah lesson bahut important hai inhe bilkul bhi miss na kare agar aapko mobile phone repairing sikhna ho to. Lesson ko repeat kare, friends ke sath share kare or Next lesson ko apne email par pane ke liye free email subscribe kare.

सैलेबस जाने हाउ टु डाउनलोड
अन्य कोर्स स्टोर पर जाएँ